is waste wo qabil-e-dastar nahin tha
is vāste vo qābil-e-dastār nahīñ thā
vo shaḳhs kisī shahr kā sardār nahīñ thā
manzar ye mirī aañkh ne dekhe haiñ lagātār
dīvār to thī sāya-e-dīvār nahīñ thā
patthar thā mohabbat ko nahīñ jaan sakā vo
vo shaḳhs to hargiz mirā dildār nahīñ thā
jaanā hai hameñ lauT ke hargiz nahīñ ruknā
kyā ham ne batāyā tumheñ sau baar nahīñ thā
hālāt hī aise the bane hijr ke qaidī
chāhat se magar aap kī inkār nahīñ thā
maiñ ḳhāna-ba-doshoñ kī tarah ghuum rahī thī
duniyā meñ kisī se bhī mujhe pyaar nahīñ thā
aatī hī nahīñ us ko mirī yaad bhī 'zebī'
rasta to mire gaañv kā dushvār nahīñ thā
is waste wo qabil-e-dastar nahin tha
wo shaKHs kisi shahr ka sardar nahin tha
manzar ye meri aankh ne dekhe hain lagatar
diwar to thi saya-e-diwar nahin tha
patthar tha mohabbat ko nahin jaan saka wo
wo shaKHs to hargiz mera dildar nahin tha
jaana hai hamein lauT ke hargiz nahin rukna
kya hum ne bataya tumhein sau bar nahin tha
haalat hi aise the bane hijr ke qaidi
chahat se magar aap ki inkar nahin tha
main KHana-ba-doshon ki tarah ghum rahi thi
duniya mein kisi se bhi mujhe pyar nahin tha
aati hi nahin us ko meri yaad bhi 'zebi'
rasta to mere ganw ka dushwar nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.