is waqt apne tewar pure shabab par hain
is vaqt apne tevar puure shabāb par haiñ
saare jahāñ se kah do ham inqalāb par haiñ
ham ko hamārī nīñdeñ ab chhū nahīñ sakeñgī
jis tak na niiñd pahuñche us ek ḳhvāb par haiñ
un qātiloñ ke chehre ab to ughāriyegā
taaza lahū ke dhabbe jin ke naqāb par haiñ
apnī laḌā.ī hai to keval usī mahal se
apne lahū kī būñdeñ jis ke gulāb par haiñ
kaise miTā sakegā ham ko 'kuñvar' zamāna
ham dastaḳhat samay ke dil kī kitāb par haiñ
is waqt apne tewar pure shabab par hain
sare jahan se kah do hum inqalab par hain
hum ko hamari ninden ab chhu nahin sakengi
jis tak na nind pahunche us ek KHwab par hain
un qatilon ke chehre ab to ughaariyega
taza lahu ke dhabbe jin ke naqab par hain
apni laDai hai to kewal usi mahal se
apne lahu ki bunden jis ke gulab par hain
kaise miTa sakega hum ko 'kunwar' zamana
hum dastaKHat samay ke dil ki kitab par hain
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 125)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.