is zat ke hisar se niklunga ek roz
is zaat ke hisār se niklūñgā ek roz
patthar haTā ke ġhaar se niklūñgā ek roz
andar kī ik sadā kā mujhe intizār hai
bāhar ke intishār se niklūñgā ek roz
shāḳhoñ ke phailne se mirā qad nahīñ baḌhā
malbūs-e-barg-o-bār se niklūñgā ek roz
maiñ bel ban ke tere darīche tak ā.ūñgā
peḌoñ kī is qatār se niklūñgā ek roz
ye fāsle to terī kashish kam na kar sake
ab to tire madār se niklūñgā ek roz
ik aks huuñ aur āñsūoñ ke darmiyān huuñ
sho.ala huuñ ābshār se niklūñgā ek roz
is sang-o-ḳhisht se merī paivastagī hai aur
niklā bhī to vaqār se niklūñgā ek roz
ik raushnī kā taḳht mujhe lene aa.egā
zindān-e-tang-o-tār se niklūñgā ek roz
is zat ke hisar se niklunga ek roz
patthar haTa ke ghaar se niklunga ek roz
andar ki ek sada ka mujhe intizar hai
bahar ke intishaar se niklunga ek roz
shaKHon ke phailne se mera qad nahin baDha
malbus-e-barg-o-bar se niklunga ek roz
main bel ban ke tere dariche tak aaunga
peDon ki is qatar se niklunga ek roz
ye fasle to teri kashish kam na kar sake
ab to tere madar se niklunga ek roz
ek aks hun aur aansuon ke darmiyan hun
shoala hun aabshaar se niklunga ek roz
is sang-o-KHisht se meri paiwastagi hai aur
nikla bhi to waqar se niklunga ek roz
ek raushni ka taKHt mujhe lene aaega
zindan-e-tang-o-tar se niklunga ek roz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.