is zabt-e-be-misal pe shabash dijiye
is zabt-e-be-misāl pe shābāsh dījiye
mujh ko mire kamāl pe shābāsh dījiye
merā ḳhayāl thā ki nibhā.egā umr-bhar
mujh ko mire ḳhayāl pe shābāsh dījiye
bhar hī gayā hai zaḳhm-e-judā.ī bhī dekhiye
ab mujh ko indimāl pe shābāsh dījiye
mujh ko qadam qadam pe jo detā rahā fareb
dilbar kī chaal chaal pe shābāsh dījiye
maiñ kah rahā huuñ us ko sar-e-ām bevafā
mujh ko mirī majāl pe shābāsh dījiye
muddat ke baad us ne ye pūchhā ki Thiik ho
ab us ke is savāl pe shābāsh dījiye
is zabt-e-be-misal pe shabash dijiye
mujh ko mere kamal pe shabash dijiye
mera KHayal tha ki nibhaega umr-bhar
mujh ko mere KHayal pe shabash dijiye
bhar hi gaya hai zaKHm-e-judai bhi dekhiye
ab mujh ko indimal pe shabash dijiye
mujh ko qadam qadam pe jo deta raha fareb
dilbar ki chaal chaal pe shabash dijiye
main kah raha hun us ko sar-e-am bewafa
mujh ko meri majal pe shabash dijiye
muddat ke baad us ne ye puchha ki Thik ho
ab us ke is sawal pe shabash dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.