is zamane ke farebon se bacha koi na tha
is zamāne ke fareboñ se bachā koī na thā
manzileñ thiiñ sāmne par rāsta koī na thā
zindagī meñ jo mile achchhe lage apne lage
maiñ to sab kā ho gayā lekin mirā koī na thā
kis qadar bach kar chalā maiñ kitnā āhista chalā
muḌ ke jab dekhā to apnā naqsh-e-pā koī na thā
ġham se sab haare hue the zindagī kī dauḌ meñ
sūrmā bhī the magar jiitā huā koī na thā
raat kuchh aisā lagā jaise sahar sī ho ga.ī
ik diyā bas jal rahā thā boltā koī na thā
'rāz' the ahbāb apne dost aur mahbūb bhī
jo nibhātā ek rishta dard kā koī na thā
is zamane ke farebon se bacha koi na tha
manzilen thin samne par rasta koi na tha
zindagi mein jo mile achchhe lage apne lage
main to sab ka ho gaya lekin mera koi na tha
kis qadar bach kar chala main kitna aahista chala
muD ke jab dekha to apna naqsh-e-pa koi na tha
gham se sab haare hue the zindagi ki dauD mein
surma bhi the magar jita hua koi na tha
raat kuchh aisa laga jaise sahar si ho gai
ek diya bas jal raha tha bolta koi na tha
'raaz' the ahbab apne dost aur mahbub bhi
jo nibhata ek rishta dard ka koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.