is zamin-e-gham-e-judai par
is zamīn-e-ġham-e-judā.ī par
paañv phisleñge sab ke kaa.ī par
Tuut ke chāhne meñ yuuñ TuuTe
TūTtā hai badan rihā.ī par
aap nārāz ho ga.e varna
baat ruktī nahīñ duhā.ī par
maanā mushkil baḌhā.ī hai maiñ ne
zindagī phir se muskurā.ī par
koī ummīd hī rahī hogī
jī rahe haiñ agar davā.ī par
raah apnī badal nahīñ dete
dostoñ se huī laḌā.ī par
is zamin-e-gham-e-judai par
panw phislenge sab ke kai par
Tut ke chahne mein yun TuTe
TuTta hai badan rihai par
aap naraaz ho gae warna
baat rukti nahin duhai par
mana mushkil baDhai hai main ne
zindagi phir se muskurai par
koi ummid hi rahi hogi
ji rahe hain agar dawai par
rah apni badal nahin dete
doston se hui laDai par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.