is zindagi ne baKHshe jo tohfe ajib hain
is zindagī ne baḳhshe jo tohfe ajiib haiñ
pagDañDiyāñ haiñ duur tak raste ajiib haiñ
ab kho chuke ḳhulūs-o-mohabbat jahān se
chāhat vafā se duur haiñ rishte ajiib haiñ
samjhe nahīñ ḳhudārā ajab terā falsafa
ḳhush-rañg dikh rahe kyuuñ vo hote ajiib haiñ
samjhe bhī koī kaise batāo use zarā
is zindagī ke kitne hī chehre ajiib haiñ
rishtoñ kī kitnī uljhī haiñ zanjīr paañv meñ
har har qadam pe lagte ye pahre ajiib haiñ
is zindagi ne baKHshe jo tohfe ajib hain
pagDanDiyan hain dur tak raste ajib hain
ab kho chuke KHulus-o-mohabbat jahan se
chahat wafa se dur hain rishte ajib hain
samjhe nahin KHudara ajab tera falsafa
KHush-rang dikh rahe kyun wo hote ajib hain
samjhe bhi koi kaise batao use zara
is zindagi ke kitne hi chehre ajib hain
rishton ki kitni uljhi hain zanjir panw mein
har har qadam pe lagte ye pahre ajib hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.