is zindagi se ek laDai laDa hun main
is zindagī se ek laḌā.ī laḌā huuñ maiñ
tab jā ke is maqām pe aa kar khaḌā huuñ maiñ
merī anā se mujh ko ijāzat nahīñ milī
aur vo samajh rahe haiñ ki zid par aḌā huuñ maiñ
qad kā nahīñ baḌā pe jasārat to dekhiye
kitne baḌe baḌoñ ke barābar khaḌā huuñ maiñ
ab zimmadāriyoñ kī sazā jhelnī paḌe
merā qusūr ye hai ki ghar meñ baḌā huuñ maiñ
apne pidar ke hukm kī ta.amīl na karūñ
huuñ maiñ baḌā magar kahāñ itnā baḌā huuñ maiñ
haiñ aap jauharī to parakhnā hai aap ko
apne har ek sher meñ motī jaḌā huuñ maiñ
duniyā zarūriyāt ko puurā bhī kar chukī
apnī zarūriyāt ke pīchhe paḌā huuñ maiñ
is zindagi se ek laDai laDa hun main
tab ja ke is maqam pe aa kar khaDa hun main
meri ana se mujh ko ijazat nahin mili
aur wo samajh rahe hain ki zid par aDa hun main
qad ka nahin baDa pe jasarat to dekhiye
kitne baDe baDon ke barabar khaDa hun main
ab zimmadariyon ki saza jhelni paDe
mera qusur ye hai ki ghar mein baDa hun main
apne pidar ke hukm ki tamil na karun
hun main baDa magar kahan itna baDa hun main
hain aap jauhari to parakhna hai aap ko
apne har ek sher mein moti jaDa hun main
duniya zaruriyat ko pura bhi kar chuki
apni zaruriyat ke pichhe paDa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.