is zindagi se koi shikayat nahin mujhe
is zindagī se koī shikāyat nahīñ mujhe
kahtī huuñ sach ki jhuuT kī aadat nahīñ mujhe
huuñ sote-jāgte tire baare meñ sochtī
kaise kahūñ ki terī zarūrat nahīñ mujhe
dil de diyā thā pahlī mulāqāt meñ tujhe
ye baat mānñe meñ nadāmat nahīñ mujhe
āñkheñ sivā.e tere nahīñ dekhtī haiñ kuchh
ik pal tire ḳhayāl se fursat nahīñ mujhe
maiñ to vafā kī duniyā meñ rahtī huuñ ai 'vilā'
ik bevafā se koī bhī nisbat nahīñ mujhe
is zindagi se koi shikayat nahin mujhe
kahti hun sach ki jhuT ki aadat nahin mujhe
hun sote-jagte tere bare mein sochti
kaise kahun ki teri zarurat nahin mujhe
dil de diya tha pahli mulaqat mein tujhe
ye baat manne mein nadamat nahin mujhe
aankhen siwae tere nahin dekhti hain kuchh
ek pal tere KHayal se fursat nahin mujhe
main to wafa ki duniya mein rahti hun ai 'wila'
ek bewafa se koi bhi nisbat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.