ishaare kya nigah-e-naz-e-dil-ruba ke chale
ishāre kyā nigah-e-nāz-e-dil-rubā ke chale
sitam ke tiir chale nīmche qazā ke chale
gunah kā bojh jo gardan pe ham uThā ke chale
ḳhudā ke aage ḳhajālat se sar jhukā ke chale
talab se aar hai allāh se faqīroñ ko
kahīñ jo ho gayā pherā sadā sunā ke chale
pukāre kahtī thī hasrat se na.ash āshiq kī
sanam kidhar ko hameñ ḳhaak meñ milā ke chale
misāl-e-māhī-e-be-āb maujeñ taḌpā kiiñ
habāb phuuT ke ro.e jo tum nahā ke chale
maqām yuuñ huā is kār-gāh-e-duniyā meñ
ki jaise din ko musāfir sarā meñ aa ke chale
kisī kā dil na kiyā ham ne pā.emāl kabhī
chale jo raah to chyūñTī ko bhī bachā ke chale
milā jinheñ unheñ uftādgī se auj milā
unhīñ ne khaa.ī hai Thokar jo sar uThā ke chale
'anīs' dam kā bharosa nahīñ Thahar jaao
charāġh le ke kahāñ sāmne havā ke chale
ishaare kya nigah-e-naz-e-dil-ruba ke chale
sitam ke tir chale nimche qaza ke chale
gunah ka bojh jo gardan pe hum uTha ke chale
KHuda ke aage KHajalat se sar jhuka ke chale
talab se aar hai allah se faqiron ko
kahin jo ho gaya phera sada suna ke chale
pukare kahti thi hasrat se nash aashiq ki
sanam kidhar ko hamein KHak mein mila ke chale
misal-e-mahi-e-be-ab maujen taDpa kin
habab phuT ke roe jo tum naha ke chale
maqam yun hua is kar-gah-e-duniya mein
ki jaise din ko musafir sara mein aa ke chale
kisi ka dil na kiya hum ne paemal kabhi
chale jo rah to chyunTi ko bhi bacha ke chale
mila jinhen unhen uftadgi se auj mila
unhin ne khai hai Thokar jo sar uTha ke chale
'anis' dam ka bharosa nahin Thahar jao
charagh le ke kahan samne hawa ke chale
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 96)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.