ishq apna ajab tamasha hai
ishq apnā ajab tamāsha hai
ik jahāñ hai ki ham ko taktā hai
jaise be-māñ ke tifl ho ye dil
aaj kuchh is tarah se sahmā hai
tujh ko pā kar bhī shaad kab thā dil
tujh ko kho kar bhī haath maltā hai
aao us des meñ chaleñ jis jā
ishq taptā hai ruup jaltā hai
ek hī ruup ke hayūle haiñ
gaah 'saifū' hai gaah 'mīrā' hai
kitnā nāzuk hai ābgīna-e-dil
ġhuncha chaTke to aur dukhtā hai
be-ḳhatar hai 'azīm' har ġham se
us pe āl-e-nabī kā saayā hai
ishq apna ajab tamasha hai
ek jahan hai ki hum ko takta hai
jaise be-man ke tifl ho ye dil
aaj kuchh is tarah se sahma hai
tujh ko pa kar bhi shad kab tha dil
tujh ko kho kar bhi hath malta hai
aao us des mein chalen jis ja
ishq tapta hai rup jalta hai
ek hi rup ke hayule hain
gah 'saifu' hai gah 'mira' hai
kitna nazuk hai aabgina-e-dil
ghuncha chaTke to aur dukhta hai
be-KHatar hai 'azim' har gham se
us pe aal-e-nabi ka saya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.