ishq asir-e-taghayyuraat nahin
ishq asīr-e-taġhayyurāt nahīñ
ye vo din hai ki jis kī raat nahīñ
paas jab tum nahīñ hayāt nahīñ
mujh ko ehsās-e-kā.enāt nahīñ
ishq kī zindagī meñ ġham hī sahī
sādgī hai takallufāt nahīñ
etibār-e-nazar baḌhā jab se
e.atibār-e-tajalliyāt nahīñ
iltifāt-e-nazar to hai lekin
ab vo andāz-e-iltifāt nahīñ
tum har ik rang meñ ho jalva-numā
koī qaid-e-ta.a.yyunāt nahīñ
kitne parde nazar ke haa.il haiñ
ab yaqīn-e-mushāhidāt nahīñ
aise zauq-e-nazar kī kyā hastī
gar shu.ūr-e-tajalliyāt nahīñ
yuuñ chhupātā huuñ dard-e-dil un se
jaise ye un ke dil kī baat nahīñ
maiñ agar tark-e-ārzū kar duuñ
phir koī maqsad-e-hayāt nahīñ
ye havā.eñ ye phuul ye kaliyāñ
har nazar ke tasarrufāt nahīñ
'sājid' apnā ye sajda-e-maqbūl
kuchh ye qaid-e-ta.ayyunnāt nahīñ
ishq asir-e-taghayyuraat nahin
ye wo din hai ki jis ki raat nahin
pas jab tum nahin hayat nahin
mujh ko ehsas-e-kaenat nahin
ishq ki zindagi mein gham hi sahi
sadgi hai takallufat nahin
etibar-e-nazar baDha jab se
eatibar-e-tajalliyat nahin
iltifat-e-nazar to hai lekin
ab wo andaz-e-iltifat nahin
tum har ek rang mein ho jalwa-numa
koi qaid-e-tayyunat nahin
kitne parde nazar ke hail hain
ab yaqin-e-mushahidat nahin
aise zauq-e-nazar ki kya hasti
gar shuur-e-tajalliyat nahin
yun chhupata hun dard-e-dil un se
jaise ye un ke dil ki baat nahin
main agar tark-e-arzu kar dun
phir koi maqsad-e-hayat nahin
ye hawaen ye phul ye kaliyan
har nazar ke tasarrufat nahin
'sajid' apna ye sajda-e-maqbul
kuchh ye qaid-e-tayyunnat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.