ishq aur intizār tauba hai
dard vo hai ki yaar tauba hai
dil ke sahrā kī ḳhushk dhartī par
is qadar hai ġhubār tauba hai
kaisī kaisī haiñ ḳhvāhisheñ terī
ai dil-e-be-qarār tauba hai
be-gunāhī kā jurm le aayā
phir hameñ sū-e-dār tauba hai
ab to kachchā ghaḌā bhī paas nahīñ
aur jaanā hai paar tauba hai
zard kaliyāñ khulī haiñ shāḳhoñ par
hai ḳhizāñ yā bahār tauba hai
pyaar kī pe se jo nahīñ vāqif
vo bhī karte haiñ pyaar tauba hai
ishq aur intizar tauba hai
dard wo hai ki yar tauba hai
dil ke sahra ki KHushk dharti par
is qadar hai ghubar tauba hai
kaisi kaisi hain KHwahishen teri
ai dil-e-be-qarar tauba hai
be-gunahi ka jurm le aaya
phir hamein su-e-dar tauba hai
ab to kachcha ghaDa bhi pas nahin
aur jaana hai par tauba hai
zard kaliyan khuli hain shaKHon par
hai KHizan ya bahaar tauba hai
pyar ki pe se jo nahin waqif
wo bhi karte hain pyar tauba hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.