ishq bar-e-digar hua hi nahin
'ishq bār-e-digar huā hī nahīñ
dil lagāyā thā dil lagā hī nahīñ
ek se log ek sī bāteñ
ghar badalne kā fā.eda hī nahīñ
ham jahāñ bhī ga.e palaT aa.e
koī terī tarah milā hī nahīñ
DhūñD laate vahīñ se dil lekin
phir vo mela kahīñ lagā hī nahīñ
is tarah Toktā huuñ auroñ ko
jaise maiñ jhuuT boltā hī nahīñ
varna suqrāt mar gayā hotā
us piyāle meñ zahr thā hī nahīñ
'ishq bar-e-digar hua hi nahin
dil lagaya tha dil laga hi nahin
ek se log ek si baaten
ghar badalne ka faeda hi nahin
hum jahan bhi gae palaT aae
koi teri tarah mila hi nahin
DhunD late wahin se dil lekin
phir wo mela kahin laga hi nahin
is tarah Tokta hun auron ko
jaise main jhuT bolta hi nahin
warna suqraat mar gaya hota
us piyale mein zahr tha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.