ishq bhi karna hai hum ko aur zinda bhi rahna hai
ishq bhī karnā hai ham ko aur zinda bhī rahnā hai
ishq meñ marne vāloñ se sharminda bhī rahnā hai
tum ko ek yahī denā hai sab kuchh hai āsān
mushkil merī hai mujh ko ā.inda bhī rahnā hai
rakhnī hai buniyād bhī apne alag gharāne kī
vaqt kī sañgat meñ us kā zinda bhī rahnā hai
bahut mohazzab honā bhī kab hai ḳhatre se ḳhālī
andar jañgal jañgal ek darinda bhī rahnā hai
dil to bujhtā jaatā hai 'ehsās'-miyāñ jī kā
shab se shart lagī hai to tābinda bhī rahnā hai
ishq bhi karna hai hum ko aur zinda bhi rahna hai
ishq mein marne walon se sharminda bhi rahna hai
tum ko ek yahi dena hai sab kuchh hai aasan
mushkil meri hai mujh ko aainda bhi rahna hai
rakhni hai buniyaad bhi apne alag gharane ki
waqt ki sangat mein us ka zinda bhi rahna hai
bahut mohazzab hona bhi kab hai KHatre se KHali
andar jangal jangal ek darinda bhi rahna hai
dil to bujhta jata hai 'ehsas'-miyan ji ka
shab se shart lagi hai to tabinda bhi rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.