ishq chhupta nahin chhupane se
ishq chhuptā nahīñ chhupāne se
fā.eda kyā nazar bachāne se
jab qafas meñ charāġh jalte haiñ
lau nikaltī hai āshiyāne se
tark-e-ummīd ik bahāna thā
kar chuke ye bhī sau bahāne se
hoshiyār ai nigāh-e-vaqt-navāz
ruḳh badalte hue zamāne se
hāsil-e-zikr ho tumhī lekin
ibtidā hai mire fasāne se
jāgnā thā hameñ ba-kār-e-hayāt
so.e haiñ maut ke bahāne se
zikr-e-mahbūb farz thā 'anjum'
kah liye sher is bahāne se
ishq chhupta nahin chhupane se
faeda kya nazar bachane se
jab qafas mein charagh jalte hain
lau nikalti hai aashiyane se
tark-e-ummid ek bahana tha
kar chuke ye bhi sau bahane se
hoshiyar ai nigah-e-waqt-nawaz
ruKH badalte hue zamane se
hasil-e-zikr ho tumhi lekin
ibtida hai mere fasane se
jagna tha hamein ba-kar-e-hayat
soe hain maut ke bahane se
zikr-e-mahbub farz tha 'anjum'
kah liye sher is bahane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.