ishq dariya hai giran-bar na jaane koi
ishq dariyā hai girāñ-bār na jaane koī
bahte paanī ko gunahgār na jaane koī
is meñ rūhoñ kī mulāqāt huā kartī hai
ḳhvāb ke pyaar ko be-kār na jaane koī
maiñ jo hālāt ke dhāre meñ bahī jaatī huuñ
mujh ko lahroñ kā taraf-dār na jaane koī
sar jhukāyā hai mohabbat meñ mohabbat ke liye
is mohabbat ko mirī haar na jaane koī
maiñ yūñhī vaqt-guzārī ko chalī aa.ī huuñ
mujh ko ḳhvāboñ kā ḳharīdār na jaane koī
mujh ko hālāt kī talḳhī ne kiyā hai barham
merī guftār ko talvār na jaane koī
yaad aate hī ġhazal bantī hai merī 'bilqīs'
sā.at-e-hijr ko āzār na jaane koī
ishq dariya hai giran-bar na jaane koi
bahte pani ko gunahgar na jaane koi
is mein ruhon ki mulaqat hua karti hai
KHwab ke pyar ko be-kar na jaane koi
main jo haalat ke dhaare mein bahi jati hun
mujh ko lahron ka taraf-dar na jaane koi
sar jhukaya hai mohabbat mein mohabbat ke liye
is mohabbat ko meri haar na jaane koi
main yunhi waqt-guzari ko chali aai hun
mujh ko KHwabon ka KHaridar na jaane koi
mujh ko haalat ki talKHi ne kiya hai barham
meri guftar ko talwar na jaane koi
yaad aate hi ghazal banti hai meri 'bilqis'
saat-e-hijr ko aazar na jaane koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.