ishq dil mein agar nahin hota
ishq dil meñ agar nahīñ hotā
terī chaukhaT pe sar nahīñ hotā
terā honā hayāt meñ merī
ho bhī saktā hai par nahīñ hotā
terī yādoñ ke saath chaltā huuñ
ye safar kyā safar nahīñ hotā
ret kā ghar banā to leñ lekin
ret hotī hai ghar nahīñ hotā
ham-zabāñ hai vo ham-ḳhayāl bhī hai
jaane kyoñ ham-safar nahīñ hotā
ek muddat guzār baiThe haiñ
ek lamha basar nahīñ hotā
ham to 'ġhāfil' haiñ dīn-o-duniyā se
ham faqīroñ kā ghar nahīñ hotā
ishq dil mein agar nahin hota
teri chaukhaT pe sar nahin hota
tera hona hayat mein meri
ho bhi sakta hai par nahin hota
teri yaadon ke sath chalta hun
ye safar kya safar nahin hota
ret ka ghar bana to len lekin
ret hoti hai ghar nahin hota
ham-zaban hai wo ham-KHayal bhi hai
jaane kyon ham-safar nahin hota
ek muddat guzar baiThe hain
ek lamha basar nahin hota
hum to 'ghafil' hain din-o-duniya se
hum faqiron ka ghar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.