ishq dil mein kai jahanon ka
'ishq dil meñ ka.ī jahānoñ kā
maiñ talabgār huuñ zamānoñ kā
ḳhvāhishoñ ko uḌaan bharnā hai
ḳhatm hai khel āsmānoñ kā
lafz kaaTe ga.e ugaa.e ga.e
kyā bhalā ho gayā kisānoñ kā
tum ne mālik banā diyā ḳhush-bāsh
jism ke be-bahā ḳhazānoñ kā
maut naqsha banā.e baiThī hai
shahr ke āḳhirī makānoñ kā
der tak naġhmagī barastī rahī
tham gayā silsila azānoñ kā
raat maiñ aap aur ḳhāmoshī
vaqt hai āḳhirī uḌānoñ kā
dostoñ ko mire pata to hai
dushmanoñ ke sabhī Thikānoñ kā
'ishq dil mein kai jahanon ka
main talabgar hun zamanon ka
KHwahishon ko uDan bharna hai
KHatm hai khel aasmanon ka
lafz kaTe gae ugae gae
kya bhala ho gaya kisanon ka
tum ne malik bana diya KHush-bash
jism ke be-baha KHazanon ka
maut naqsha banae baiThi hai
shahr ke aaKHiri makanon ka
der tak naghmagi barasti rahi
tham gaya silsila azanon ka
raat main aap aur KHamoshi
waqt hai aaKHiri uDanon ka
doston ko mere pata to hai
dushmanon ke sabhi Thikanon ka
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 32)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.