ishq-e-but mein kufr ka mujhko adab karna paDa
ishq-e-but meñ kufr kā mujh ko adab karnā paḌā
jo brahman ne kahā āḳhir vo sab karnā paḌā
sabr karnā furqat-e-mahbūb meñ samjhe the sahl
khul gayā apnī samajh kā haal jab karnā paḌā
tajrabe ne hubb-e-duniyā se sikhāyā ehtirāz
pahle kahte the faqat muñh se aur ab karnā paḌā
shaiḳh kī majlis meñ bhī muflis kī kuchh pursish nahīñ
diin kī ḳhātir se duniyā ko talab karnā paḌā
kyā kahūñ be-ḳhud huā maiñ kis nigāh-e-mast se
'aql ko bhī merī hastī kā adab karnā paḌā
iqtizā fitrat kā ruktā hai kahīñ ai ham-nashīñ
shaiḳh-sāhib ko bhī āḳhir kār-e-shab karnā paḌā
'ālam-e-hastī ko thā madd-e-nazar katmān-e-rāz
ek shai ko dūsrī shai kā sabab karnā paḌā
she'r ġhairoñ ke use mutlaq nahīñ aa.e pasand
hazrat-e-'akbar' ko bil-āḳhir talab karnā paḌā
ishq-e-but mein kufr ka mujh ko adab karna paDa
jo brahman ne kaha aaKHir wo sab karna paDa
sabr karna furqat-e-mahbub mein samjhe the sahl
khul gaya apni samajh ka haal jab karna paDa
tajrabe ne hubb-e-duniya se sikhaya ehtiraaz
pahle kahte the faqat munh se aur ab karna paDa
shaiKH ki majlis mein bhi muflis ki kuchh pursish nahin
din ki KHatir se duniya ko talab karna paDa
kya kahun be-KHud hua main kis nigah-e-mast se
'aql ko bhi meri hasti ka adab karna paDa
iqtiza fitrat ka rukta hai kahin ai ham-nashin
shaiKH-sahib ko bhi aaKHir kar-e-shab karna paDa
'alam-e-hasti ko tha madd-e-nazar katman-e-raaz
ek shai ko dusri shai ka sabab karna paDa
she'r ghairon ke use mutlaq nahin aae pasand
hazrat-e-'akbar' ko bil-aKHir talab karna paDa
- Book : kulliyat-e-akbar allahabadi (Pg. 278)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.