ishq-e-butan ka le ke sahaara kabhi kabhi
ishq-e-butāñ kā le ke sahārā kabhī kabhī
apne ḳhudā ko ham ne pukārā kabhī kabhī
is intihā-e-tark-e-ta.alluq ke bāvajūd
ham ne liyā hai naam tumhārā kabhī kabhī
tūfāñ kā ḳhauf hai abhī shāyad karishma-kār
aatā hai sāmne jo kināra kabhī kabhī
bahke to mai-kade meñ namāzoñ pe aa ga.e
yuuñ āqibat ko ham ne sañvārā kabhī kabhī
tanhā-ravī ne rakkhī hamāre junūñ kī laaj
go ahl-e-kārvāñ ne pukārā kabhī kabhī
ab kyā kaheñ dil-e-mutalavvin-mizāj ko
aksar ye aap kā hai hamārā kabhī kabhī
fariyād-e-ġham se 'arsh' sañbhaltā hai dil magar
lete haiñ ahl-e-dil ye sahārā kabhī kabhī
ishq-e-butan ka le ke sahaara kabhi kabhi
apne KHuda ko hum ne pukara kabhi kabhi
is intiha-e-tark-e-talluq ke bawajud
hum ne liya hai nam tumhaara kabhi kabhi
tufan ka KHauf hai abhi shayad karishma-kar
aata hai samne jo kinara kabhi kabhi
bahke to mai-kade mein namazon pe aa gae
yun aaqibat ko hum ne sanwara kabhi kabhi
tanha-rawi ne rakkhi hamare junun ki laj
go ahl-e-karwan ne pukara kabhi kabhi
ab kya kahen dil-e-mutalawwin-mizaj ko
aksar ye aap ka hai hamara kabhi kabhi
fariyaad-e-gham se 'arsh' sanbhalta hai dil magar
lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 356)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.