Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq-e-junun-nawaz ko sarshaar dekhna

Mardan Ali Khan Nishat

ishq-e-junun-nawaz ko sarshaar dekhna

Mardan Ali Khan Nishat

MORE BYMardan Ali Khan Nishat

    ishq-e-junūñ-navāz ko sarshār dekhnā

    har dard ko hai lazzat-e-āzār dekhnā

    apnī nazar hai auj-e-surayyā se bhī buland

    har kam-nazar ko zīnat-e-dīvār dekhnā

    kis kis ke naam aa.egā parvāna-e-ajal

    maqtal banā hai kūcha-e-dildār dekhnā

    rangīñ-qabā ye phuul to kyā is se fā.eda

    uryāñ hai zer-e-shāḳh har ik ḳhaar dekhnā

    the jitne haq-parast vahī ho ga.e shahīd

    ik ham rah ga.e haiñ sar-e-dār dekhnā

    āshiq hai apne aap pe vo nāznīñ 'nishāt'

    sahbā-e-ahmarīñ ko qadah-ḳhvār dekhnā

    ishq-e-junun-nawaz ko sarshaar dekhna

    har dard ko hai lazzat-e-azar dekhna

    apni nazar hai auj-e-surayya se bhi buland

    har kam-nazar ko zinat-e-diwar dekhna

    kis kis ke nam aaega parwana-e-ajal

    maqtal bana hai kucha-e-dildar dekhna

    rangin-qaba ye phul to kya is se faeda

    uryan hai zer-e-shaKH har ek KHar dekhna

    the jitne haq-parast wahi ho gae shahid

    ek hum hi rah gae hain sar-e-dar dekhna

    aashiq hai apne aap pe wo naznin 'nishat'

    sahba-e-ahmarin ko qadah-KHwar dekhna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now