Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq-e-kaamil wabaal sahab

Imran Mahmood Mani

ishq-e-kaamil wabaal sahab

Imran Mahmood Mani

MORE BYImran Mahmood Mani

    ishq-e-kāmil vabāl sāhab

    kar gayā hai niDhāl sāhab

    ishq ātish hai man pighaltā

    mujh se dhāgā nikāl sāhab

    tujh ko kho kar bhī aas zinda

    is ko kahte kamāl sāhab

    roz-e-yaum-e-hisāb merā

    is qayāmat ko Taal sāhab

    jiit merī hai haar goyā

    phir se sikka uchhāl sāhab

    terī nafrat aasrā hai

    kab huā hai malāl sāhab

    terī shamshīr ḳhuun māñge

    merā qur.a nikāl sāhab

    tum jo patthar mizāj Thahre

    ā.inoñ ḳhayāl sāhab

    phir havā meñ uḌā de chilman

    mujh ko hairat meñ Daal sāhab

    ishq-e-kaamil wabaal sahab

    kar gaya hai niDhaal sahab

    ishq aatish hai man pighalta

    mujh se dhaga nikal sahab

    tujh ko kho kar bhi aas zinda

    is ko kahte kamal sahab

    roz-e-yaum-e-hisab mera

    is qayamat ko Tal sahab

    jit meri hai haar goya

    phir se sikka uchhaal sahab

    teri nafrat ka aasra hai

    kab hua hai malal sahab

    teri shamshir KHun mange

    mera qura nikal sahab

    tum jo patthar mizaj Thahre

    aainon ka KHayal sahab

    phir hawa mein uDa de chilman

    mujh ko hairat mein Dal sahab

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now