Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq-e-nakaam ka dastur tumhein kya malum

Jurm Mohammadabadi

ishq-e-nakaam ka dastur tumhein kya malum

Jurm Mohammadabadi

MORE BYJurm Mohammadabadi

    ishq-e-nākām dastūr tumheñ kyā ma.alūm

    tum ho us se had bahut duur tumheñ kyā ma.alūm

    ġham duniyā se ho tum duur tumheñ kyā ma.alūm

    aah kyoñ karte haiñ majbūr tumheñ kyā ma.alūm

    zaḳhm-e-dil ḳhūgar-e-āzār baḌhte baḌhte

    kis tarah bantā hai nāsūr tumheñ kyā ma.alūm

    ḳhatm hone ko hai hañgāma-e-tūfān-e-hayāt

    dard kyoñ hotā hai kāfūr tumheñ kyā ma.alūm

    ishq-e-sar-josh ne kyā dil pe sitam toḌe haiñ

    nashsha-e-husn se ho chuur tumheñ kyā ma.alūm

    tum alag ho ga.e parde se girā kar bijlī

    kis pe kyā guzrī sar-e-tūr tumheñ kyā ma.alūm

    apne sheroñ meñ adā karke tumhārī shoḳhī

    ho gayā 'jurm' bhī mash.hūr tumheñ kyā ma.alūm

    ishq-e-nakaam ka dastur tumhein kya malum

    tum ho us se had bahut dur tumhein kya malum

    gham ki duniya se ho tum dur tumhein kya malum

    aah kyon karte hain majbur tumhein kya malum

    zaKHm-e-dil KHugar-e-azar ka baDhte baDhte

    kis tarah banta hai nasur tumhein kya malum

    KHatm hone ko hai hangama-e-tufan-e-hayat

    dard kyon hota hai kafur tumhein kya malum

    ishq-e-sar-josh ne kya dil pe sitam toDe hain

    nashsha-e-husn se ho chur tumhein kya malum

    tum alag ho gae parde se gira kar bijli

    kis pe kya guzri sar-e-tur tumhein kya malum

    apne sheron mein ada karke tumhaari shoKHi

    ho gaya 'jurm' bhi mashhur tumhein kya malum

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now