ishq-e-sadiq jo asir-e-tama-e-KHam na tha
ishq-e-sadiq jo asir-e-tama-e-KHam na tha
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
ishq-e-sādiq jo asīr-e-tama-e-ḳhām na thā
sa.ī-e-nākām ke ġham se mujhe kuchh kaam na thā
tuur ke lutf-e-ḳhusūsī kī qasam pahle bhī
mere dil par asar-e-jalva-gah-e-ām na thā
dost ke husn-e-tavajjoh se nahīñ shādāb tak
nigah-e-ġham-zada meñ kyā koī paiġhām na thā
hasrat-e-ḳhūñ-shuda har aan na.ī shaan meñ thī
rañg jo sub.h ko dekhā vo sar-e-shām na thā
dil-lagī ham se kiye jaate haiñ kyuuñ aish pasand
kyā yahāñ soḳhta kāmoñ kā koī kaam na thā
jāntā thā jise apnī usī mahfil meñ gayā
jā ke ġhairoñ kī tarah muntazir-e-jām na thā
mai-gusārī ke liye mil ga.e ham-zauq bahut
ġham-gusārī ke liye koī bhī ham-kām na thā
is zamāne meñ bhī ilhām hai 'manzūr' kā sher
maiñ kisī daur meñ hasrat-kash-e-ilhām na thā
ishq-e-sadiq jo asir-e-tama-e-KHam na tha
sai-e-nakaam ke gham se mujhe kuchh kaam na tha
tur ke lutf-e-KHususi ki qasam pahle bhi
mere dil par asar-e-jalwa-gah-e-am na tha
dost ke husn-e-tawajjoh se nahin shadab tak
nigah-e-gham-zada mein kya koi paigham na tha
hasrat-e-KHun-shuda har aan nai shan mein thi
rang jo subh ko dekha wo sar-e-sham na tha
dil-lagi hum se kiye jate hain kyun aish pasand
kya yahan soKHta kaamon ka koi kaam na tha
jaanta tha jise apni usi mahfil mein gaya
ja ke ghairon ki tarah muntazir-e-jam na tha
mai-gusari ke liye mil gae ham-zauq bahut
gham-gusari ke liye koi bhi ham-kaam na tha
is zamane mein bhi ilham hai 'manzur' ka sher
main kisi daur mein hasrat-kash-e-ilham na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.