ishq-e-sadiq ne dikhaya ye asar aap se aap
ishq-e-sadiq ne dikhaya ye asar aap se aap
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
ishq-e-sādiq ne dikhāyā ye asar aap se aap
ho ga.ī un ko mire dil kī ḳhabar aap se aap
chashm-e-jānāñ kī agar yaad nahīñ aa.ī hai
aa ga.e josh pe kyoñ dīda-e-tar aap se aap
kuchh maza paḌ gayā hai un ko ki be-vaj.h-o-sabab
vasl kī shab vo kiyā karte haiñ shar aap se aap
ḳhufta-baḳhtī mirī dikhlātī hai tāsīr apnī
bajne lagtā hai shab-e-vasl gajar aap se aap
na mo.azzin ne azaañ dī na abhī top chalī
daf.atan bol uThā murġh-e-sahar aap se aap
ba-ḳhudā un kī taraf se nahīñ kuchh ḳhvāhish thī
jaan kā apnī kiyā ham ne zarar aap se aap
ġhair ko tum ne biThāyā to nahīñ pahlū meñ
aaj uThtā hai ye kyoñ dard-e-jigar aap se aap
jazb-e-ulfat tirī tāsīr kā tab qaa.il huuñ
deñ to vo bosa-e-lab mujh ko magar aap se aap
lillāh al-hamd kiyā aah ne itnā to asar
be-talab vo chale aa.e mire ghar aap se aap
hogī tāsīr jo nāloñ meñ tumhāre 'vahbī'
to chalā aa.egā vo rashk-e-qamar aap se aap
ishq-e-sadiq ne dikhaya ye asar aap se aap
ho gai un ko mere dil ki KHabar aap se aap
chashm-e-jaanan ki agar yaad nahin aai hai
aa gae josh pe kyon dida-e-tar aap se aap
kuchh maza paD gaya hai un ko ki be-wajh-o-sabab
wasl ki shab wo kiya karte hain shar aap se aap
KHufta-baKHti meri dikhlati hai tasir apni
bajne lagta hai shab-e-wasl gajar aap se aap
na moazzin ne azan di na abhi top chali
dafatan bol uTha murgh-e-sahar aap se aap
ba-KHuda un ki taraf se nahin kuchh KHwahish thi
jaan ka apni kiya hum ne zarar aap se aap
ghair ko tum ne biThaya to nahin pahlu mein
aaj uThta hai ye kyon dard-e-jigar aap se aap
jazb-e-ulfat teri tasir ka tab qail hun
den to wo bosa-e-lab mujh ko magar aap se aap
lillah al-hamd kiya aah ne itna to asar
be-talab wo chale aae mere ghar aap se aap
hogi tasir jo nalon mein tumhaare 'wahbi'
to chala aaega wo rashk-e-qamar aap se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.