ishq-e-sadiq un ko bhi kar de na diwana kahin
ishq-e-sādiq un ko bhī kar de na dīvāna kahīñ
sham.a jalte jalte ban jaa.e na parvāna kahīñ
kah na de rind-e-subū-kash rāz-e-mai-ḳhāna kahīñ
mohtasib bhī sun ke ho jaa.e na mastāna kahīñ
mastiyāñ chhā.ī huī haiñ mai-kada meñ chār-sū
jalva-e-sāqī kahīñ hai daur-e-paimāna kahīñ
josh-e-vahshat baḌhte baḌhte ho na jaa.e parda-dar
ḳhalq meñ mash.hūr ho merā na afsāna kahīñ
chashm-e-mast-e-sāqī-e-maḳhmūr hai mai-kash-navāz
bhar na jaa.e umr-e-do-roza kā paimāna kahīñ
mai-parastī kā mazā aa.e nasha baḌhtā rahe
aaj saaqī de jo paimāne pe paimāna kahīñ
kaan us āvāz-e-dilkash se hoñ kyūñkar āshnā
ġham-kada merā kahīñ un kā tarab-ḳhāna kahīñ
sun ke mere jazba-e-vahshat ko vo kahne lage
nazr-e-shauq-e-dīd ho jaa.e na dīvāna kahīñ
zabt lāzim hai tumheñ 'kaukab' faroġh-e-ishq meñ
har-kas-o-nā-kas se kah denā na afsāna kahīñ
ishq-e-sadiq un ko bhi kar de na diwana kahin
shama jalte jalte ban jae na parwana kahin
kah na de rind-e-subu-kash raaz-e-mai-KHana kahin
mohtasib bhi sun ke ho jae na mastana kahin
mastiyan chhai hui hain mai-kada mein chaar-su
jalwa-e-saqi kahin hai daur-e-paimana kahin
josh-e-wahshat baDhte baDhte ho na jae parda-dar
KHalq mein mashhur ho mera na afsana kahin
chashm-e-mast-e-saqi-e-maKHmur hai mai-kash-nawaz
bhar na jae umr-e-do-roza ka paimana kahin
mai-parasti ka maza aae nasha baDhta rahe
aaj saqi de jo paimane pe paimana kahin
kan us aawaz-e-dilkash se hon kyunkar aashna
gham-kada mera kahin un ka tarab-KHana kahin
sun ke mere jazba-e-wahshat ko wo kahne lage
nazr-e-shauq-e-did ho jae na diwana kahin
zabt lazim hai tumhein 'kaukab' farogh-e-ishq mein
har-kas-o-na-kas se kah dena na afsana kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.