ishq-e-urdu hai mir hain hum bhi
'ishq-e-urdu hai 'mīr' haiñ ham bhī
ġham-kade ke asiir haiñ ham bhī
aao kuchh duur saath saath chaleñ
tum bhī ho rāhgīr haiñ ham bhī
kaj-kulāhī hai shān-e-sultānī
aap apnī nazīr haiñ ham bhī
ghar meñ bikhrī huī kitābeñ haiñ
ḳhush bahut haiñ amiir haiñ ham bhī
mas.ala koī mas.ala na rahā
apnī dhun meñ faqīr haiñ ham bhī
haath ḳhālī koī nahīñ jaatā
dast de dastgīr haiñ ham bhī
ham se raushan haiñ dil ke ā.īne
'mast' raushan-zamīr haiñ ham bhī
'ishq-e-urdu hai 'mir' hain hum bhi
gham-kade ke asir hain hum bhi
aao kuchh dur sath sath chalen
tum bhi ho rahgir hain hum bhi
kaj-kulahi hai shan-e-sultani
aap apni nazir hain hum bhi
ghar mein bikhri hui kitaben hain
KHush bahut hain amir hain hum bhi
masala koi masala na raha
apni dhun mein faqir hain hum bhi
hath KHali koi nahin jata
dast de dastgir hain hum bhi
hum se raushan hain dil ke aaine
'mast' raushan-zamir hain hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.