ishq fani na husn fani hai
ishq faanī na husn faanī hai
un kā har lamha jāvedānī hai
dekh rindoñ pe itnā ta.an na kar
dekh rut kis qadar suhānī hai
shaiḳh faanī sahī ye dhar magar
terī jannat faqat kahānī hai
ek be-kaif sā tasalsul hai
koī ġham hai na shādmānī hai
ishq fani na husn fani hai
un ka har lamha jawedani hai
dekh rindon pe itna tan na kar
dekh rut kis qadar suhani hai
shaiKH fani sahi ye dhar magar
teri jannat faqat kahani hai
ek be-kaif sa tasalsul hai
koi gham hai na shadmani hai
- Book : Kulliyat-e-gopal mittal (Pg. 191)
- Author : Gopal Mittal
- Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.