ishq gar hath chhuDae to chhuDane dena
'ishq gar haath chhuḌā.e to chhuḌāne denā
kār-e-vahshat pe magar aañch na aane denā
yuuñ bhī āġhāz meñ har kaam bhalā lagtā hai
avval avval hai ise hijr manāne denā
apne bachche ko na nafrat kā paḌhā denā sabaq
haath dushman se milā.e to milāne denā
ye bhī kam-zarf mohabbat kā vatīra hai miyāñ
jab na.e zaḳhm kī ḳhvāhish ho purāne denā
jis ne dāman mirā dukh dard se bhar Daalā hai
mere maulā use ḳhushiyoñ ke ḳhazāne denā
'izzat-e-nafs se baḌh kar to koī chiiz nahīñ
jo tumheñ chhoḌ ke jaa.e use jaane denā
'ishq gar hath chhuDae to chhuDane dena
kar-e-wahshat pe magar aanch na aane dena
yun bhi aaghaz mein har kaam bhala lagta hai
awwal awwal hai ise hijr manane dena
apne bachche ko na nafrat ka paDha dena sabaq
hath dushman se milae to milane dena
ye bhi kam-zarf mohabbat ka watira hai miyan
jab nae zaKHm ki KHwahish ho purane dena
jis ne daman mera dukh dard se bhar Dala hai
mere maula use KHushiyon ke KHazane dena
'izzat-e-nafs se baDh kar to koi chiz nahin
jo tumhein chhoD ke jae use jaane dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.