ishq hai banda-e-azad ka maqsud-e-hayat
ishq hai banda-e-āzād kā maqsūd-e-hayāt
aql-e-but-gar ne tarāshe haiñ hazāroñ ma.abūd
vus.ateñ aur atā arsa-e-āfāq ko kar
tang hai mere junūñ pe ye jahān-e-mahdūd
fauqiyat dete haiñ maz.hab pe jo qaumiyyat ko
un kā idrāk mo.attal hai basīrat mahdūd
ab kahāñ husn-e-ḳhud-ārā meñ ḳham-e-zulf-e-ayāz
ab kahāñ ishq ke maslak meñ tarīq-e-mahmūd
na vo manzil-gah-e-majnūñ hai na vo vādī-e-najd
rah-rav-e-shauq-o-tamanna kī haiñ rāheñ masdūd
zehn meñ un ke kahāñ sho.ala-e-taḳhlīq-e-suḳhan
jo ye kahte haiñ ki afkār pe taarī hai jumūd
sham.a-e-aivān-e-tarab qismat-e-mun.im 'fārūq'
dil-e-majbūr kī taqdīr faqat sho.ala-e-dūd
ishq hai banda-e-azad ka maqsud-e-hayat
aql-e-but-gar ne tarashe hain hazaron mabud
wusaten aur ata arsa-e-afaq ko kar
tang hai mere junun pe ye jahan-e-mahdud
fauqiyat dete hain mazhab pe jo qaumiyyat ko
un ka idrak moattal hai basirat mahdud
ab kahan husn-e-KHud-ara mein KHam-e-zulf-e-ayaz
ab kahan ishq ke maslak mein tariq-e-mahmud
na wo manzil-gah-e-majnun hai na wo wadi-e-najd
rah-raw-e-shauq-o-tamanna ki hain rahen masdud
zehn mein un ke kahan shoala-e-taKHliq-e-suKHan
jo ye kahte hain ki afkar pe tari hai jumud
shama-e-aiwan-e-tarab qismat-e-munim 'faruq'
dil-e-majbur ki taqdir faqat shoala-e-dud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.