ishq hai to yun nibhana chahiye
ishq hai to yuuñ nibhānā chāhiye
jaan par ab jaan jaanā chāhiye
baat kuchh aisī banānā chāhiye
buuñd meñ sāgar samānā chāhiye
maut bhī gar dekh le to jal mare
zindagī yuuñ muskurānā chāhiye
muddatoñ koī safar mumkin nahīñ
zindagī ko bhī Thikāna chāhiye
zindagī kyā hai tajarbe ke sivā
mushkiloñ ko āzmānā chāhiye
ghar binā buniyād ke mumkin nahīñ
ghar meñ koī to siyānā chāhiye
ishq hai to yun nibhana chahiye
jaan par ab jaan jaana chahiye
baat kuchh aisi banana chahiye
bund mein sagar samana chahiye
maut bhi gar dekh le to jal mare
zindagi yun muskurana chahiye
muddaton koi safar mumkin nahin
zindagi ko bhi Thikana chahiye
zindagi kya hai tajarbe ke siwa
mushkilon ko aazmana chahiye
ghar bina buniyaad ke mumkin nahin
ghar mein koi to siyana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.