ishq hai wahshat hai kya hai kuchh pata to chahiye
ishq hai vahshat hai kyā hai kuchh patā to chāhiye
kyā kahūñ maiñ us se āḳhir mudda.ā to chāhiye
darguzar kar mere mālik tū nazar aatā nahīñ
sar jhukāne ke liye koī patā to chāhiye
raat kī palkeñ bhī ḳhālī ghar ke āñgan kī tarah
raushnī ke vāste koī diyā to chāhiye
sar-ḳhamīda shahr meñ us ke harīm-e-nāz tak
bū-e-gul ke vāste dast-e-sabā to chāhiye
ḳhat-kashīda saarī tahrīreñ usī ke naam haiñ
harf-e-haq ko izn de saut-o-sadā to chāhiye
raat kī shāḳhoñ pe kuchh ḳhvāboñ ke gul-būTe sajā
jāgtī āñkhoñ ko āḳhir aasrā to chāhiye
ishq hai wahshat hai kya hai kuchh pata to chahiye
kya kahun main us se aaKHir muddaa to chahiye
darguzar kar mere malik tu nazar aata nahin
sar jhukane ke liye koi pata to chahiye
raat ki palken bhi KHali ghar ke aangan ki tarah
raushni ke waste koi diya to chahiye
sar-KHamida shahr mein us ke harim-e-naz tak
bu-e-gul ke waste dast-e-saba to chahiye
KHat-kashida sari tahriren usi ke nam hain
harf-e-haq ko izn de saut-o-sada to chahiye
raat ki shaKHon pe kuchh KHwabon ke gul-buTe saja
jagti aankhon ko aaKHir aasra to chahiye
- Book : Shareek-e-Harf (Pg. 170)
- Author : Khalid Jamal
- Publication : Dabistan-e-adab (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.