Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq ho jaun pyar ho jaun

Afroz Rizvi

ishq ho jaun pyar ho jaun

Afroz Rizvi

MORE BYAfroz Rizvi

    ishq ho jā.ūñ pyaar ho jā.ūñ

    maiñ jo ḳhushbu-e-yār ho jā.ūñ

    jab bhī niklūñ maiñ DhūñDne us ko

    dhuul miTTī ġhubār ho jā.ūñ

    us ke va.ade e'tibār karūñ

    phir shab-e-intizār ho jā.ūñ

    oḌh luuñ us yaad chādar

    aur ḳhud par nisār ho jā.ūñ

    maiñ tirā mausam-e-ḳhizāñ pahnūñ

    aur fasl-e-bahār ho jā.ūñ

    ek shab us ko is tarah dekhūñ

    dāman-e-shab ke paar ho jā.ūñ

    jo havā tujh ko chhū ke aa.e maiñ

    us ko chhū luuñ bahār ho jā.ūñ

    jis ghaḌī us aa.ina dekhūñ

    us ghaḌī aks-e-yār ho jā.ūñ

    phuul Tāñkūñ libās meñ us ke

    maiñ agar dastkār ho jā.ūñ

    us kājal lagā ke āñkhoñ meñ

    mastī-e-chashm-e-yār ho jā.ūñ

    chāhtā vo bhī hai yahī 'afroz'

    aag luuñ sharār ho jā.ūñ

    ishq ho jaun pyar ho jaun

    main jo KHushbu-e-yar ho jaun

    jab bhi niklun main DhunDne us ko

    dhul miTTi ghubar ho jaun

    us ke wade ka e'tibar karun

    phir shab-e-intizar ho jaun

    oDh lun us ki yaad ki chadar

    aur KHud par nisar ho jaun

    main tera mausam-e-KHizan pahnun

    aur fasl-e-bahaar ho jaun

    ek shab us ko is tarah dekhun

    daman-e-shab ke par ho jaun

    jo hawa tujh ko chhu ke aae main

    us ko chhu lun bahaar ho jaun

    jis ghaDi us ka aaina dekhun

    us ghaDi aks-e-yar ho jaun

    phul Tankun libas mein us ke

    main agar dastkar ho jaun

    us ka kajal laga ke aankhon mein

    masti-e-chashm-e-yar ho jaun

    chahta wo bhi hai yahi 'afroz'

    aag pi lun sharar ho jaun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now