ishq hota hai jaan-lewa bhi
'ishq hotā hai jān-levā bhī
ai mire yaar tū ne sochā bhī
tum ne chehra to apnā dekh liyā
kyā huā aa.ina jo TuuTā bhī
dast-e-farzāngī meñ patthar the
maiñ ne dekhā hai ye tamāshā bhī
hai jo shikva-guzār-e-sāya-e-zulf
zulf ke saa.e meñ vo Thahrā bhī
ghar meñ rahnā bhī ab nahīñ āsāñ
aur hai band rāh-e-sahrā bhī
hai bahut mujh ko 'umr-bhar ke liye
terī chāhat kā ek lamha bhī
apnī hī raushnī meñ chaltā huuñ
saath chaltā hai merā saayā bhī
ham to sau baar tark-e-'ishq kareñ
sar se nikle magar ye saudā bhī
dekh 'bāsit-azīm' jhuuT na bol
kahīñ hotā hai yaar aisā bhī
'ishq hota hai jaan-lewa bhi
ai mere yar tu ne socha bhi
tum ne chehra to apna dekh liya
kya hua aaina jo TuTa bhi
dast-e-farzangi mein patthar the
main ne dekha hai ye tamasha bhi
hai jo shikwa-guzar-e-saya-e-zulf
zulf ke sae mein wo Thahra bhi
ghar mein rahna bhi ab nahin aasan
aur hai band rah-e-sahra bhi
hai bahut mujh ko 'umr-bhar ke liye
teri chahat ka ek lamha bhi
apni hi raushni mein chalta hun
sath chalta hai mera saya bhi
hum to sau bar tark-e-'ishq karen
sar se nikle magar ye sauda bhi
dekh 'basit-azim' jhuT na bol
kahin hota hai yar aisa bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.