ishq ek amar-e-la-shuuri hai
ishq ik amar-e-lā-shu.ūrī hai
donoñ jānib se kyā zarūrī hai
sāneha ho ki ḳhush-gavār anjām
ḳhud meñ har dāstāñ adhūrī hai
vo mirā chāñd hai magar ham meñ
ik zamīñ āsmāñ kī duurī hai
kāmyābī kā raaz jaano ho
ik zarā mashq-e-jī-huzūrī hai
ik taraf us ke naaz kā aalam
ik taraf merī nā-subūrī hai
yuuñ bhī lā-taqnatū kī hai talqīn
mujh ko ummīd ḳhud se puurī hai
ishq ek amar-e-la-shuuri hai
donon jaanib se kya zaruri hai
saneha ho ki KHush-gawar anjam
KHud mein har dastan adhuri hai
wo mera chand hai magar hum mein
ek zamin aasman ki duri hai
kaamyabi ka raaz jaano ho
ek zara mashq-e-ji-huzuri hai
ek taraf us ke naz ka aalam
ek taraf meri na-suburi hai
yun bhi la-taqnatu ki hai talqin
mujh ko ummid KHud se puri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.