ishq ek hikayat hai sarfarosh duniya ki
'ishq ik hikāyat hai sarfarosh duniyā kī
hijr ik masāfat hai be-nigār sahrā kī
un ke rū-ba-rū nikle nutq o lafz be-mā'nī
baat hī 'ajab lekin ḳhāmushī ne paidā kī
vaqt ke tasalsul meñ ham ba-rañg-e-sho.ala the
umr-e-yak-nafas meñ bhī raushnī the duniyā kī
ham ko sahl-añgārī ġharq kar chukī hotī
himmat-āfrīñ niklī lahar lahar dariyā kī
yuuñ to vo farokash the jāda-e-rag-e-jāñ meñ
māvarā-e-imkāñ thī raushnī kaf-e-pā kī
sham-e-mahfil-e-yak-shab aur tūl-e-fikr itnā
kaun shaḳhs thā jis ne ārzū-e-fardā kī
ham bhī haiñ niko-sūrat ham bhī nek-sīrat haiñ
ham ne bandagī kī hai ik jamāl-e-ra.anā kī
'ishq ek hikayat hai sarfarosh duniya ki
hijr ek masafat hai be-nigar sahra ki
un ke ru-ba-ru nikle nutq o lafz be-ma'ni
baat hi 'ajab lekin KHamushi ne paida ki
waqt ke tasalsul mein hum ba-rang-e-shoala the
umr-e-yak-nafas mein bhi raushni the duniya ki
hum ko sahl-angari gharq kar chuki hoti
himmat-afrin nikli lahar lahar dariya ki
yun to wo farokash the jada-e-rag-e-jaan mein
mawara-e-imkan thi raushni kaf-e-pa ki
sham-e-mahfil-e-yak-shab aur tul-e-fikr itna
kaun shaKHs tha jis ne aarzu-e-farda ki
hum bhi hain niko-surat hum bhi nek-sirat hain
hum ne bandagi ki hai ek jamal-e-rana ki
- Book : kulliyat-e-zahiir (Pg. 247)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.