ishq ilzam bhi to hota hai
ishq ilzām bhī to hotā hai
ye burā kaam bhī to hotā hai
dostī kuchh mujhī ko tum se nahīñ
ye maraz aam bhī to hotā hai
nahīñ taklīf hī mohabbat meñ
us meñ ārām bhī to hotā hai
va.ada karne meñ phir ta.ammul kyā
haañ tumheñ kaam bhī to hotā hai
rāt-din dard hī nahīñ rahtā
dil ko ārām bhī to hotā hai
nasha-e-husn aur phir kab tak
bāda-e-ḳhām bhī to hotā hai
naam par tere kyuuñ na aatā pyaar
pyaar kā naam bhī to hotā hai
kyā ta.ajjub jo ho visāl meñ vasl
kaam meñ kaam bhī to hotā hai
ai safī' āshiqī kī ye tārīf
aur anjām bhī to hotā hai
ishq ilzam bhi to hota hai
ye bura kaam bhi to hota hai
dosti kuchh mujhi ko tum se nahin
ye maraz aam bhi to hota hai
nahin taklif hi mohabbat mein
us mein aaram bhi to hota hai
wada karne mein phir tammul kya
han tumhein kaam bhi to hota hai
raat-din dard hi nahin rahta
dil ko aaram bhi to hota hai
nasha-e-husn aur phir kab tak
baada-e-KHam bhi to hota hai
nam par tere kyun na aata pyar
pyar ka nam bhi to hota hai
kya tajjub jo ho visal mein wasl
kaam mein kaam bhi to hota hai
ai safi' aashiqi ki ye tarif
aur anjam bhi to hota hai
- Book : Kulliyat-e-Safi (Pg. 281)
- Author : Safi Auranjabadi
- Publication : Urdu Acadami Hayderabad (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.