ishq itna kamal rakhta hai
ishq itnā kamāl rakhtā hai
husn ko ġham-shanās kartā hai
chashm-e-sāqī meñ jām-e-jam kī qasam
rañg-e-duniyā-o-dīñ chhalaktā hai
sham-e-mahfil ho yā ki parvāna
vo bhī jaltī hai ye bhī jaltā hai
Duub jaa.e na ġham kā mai-ḳhāna
jām-e-qalb-e-hazīñ chhalaktā hai
bas ai fitna-e-ḳhirām-e-nāz Thahar
ab qayāmat kā dil machaltā hai
maslahat ye hai tum badal jaao
rañg-e-mahfil agar badaltā hai
ġham-e-jānāñ se bach ga.e 'iqbāl'
ġham-e-daurāñ se kaun bachtā hai
ishq itna kamal rakhta hai
husn ko gham-shanas karta hai
chashm-e-saqi mein jam-e-jam ki qasam
rang-e-duniya-o-din chhalakta hai
sham-e-mahfil ho ya ki parwana
wo bhi jalti hai ye bhi jalta hai
Dub jae na gham ka mai-KHana
jam-e-qalb-e-hazin chhalakta hai
bas ai fitna-e-KHiram-e-naz Thahar
ab qayamat ka dil machalta hai
maslahat ye hai tum badal jao
rang-e-mahfil agar badalta hai
gham-e-jaanan se bach gae 'iqbaal'
gham-e-dauran se kaun bachta hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 49)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.