Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq-jai kahan se aai hai

Waqas Yusuf

ishq-jai kahan se aai hai

Waqas Yusuf

MORE BYWaqas Yusuf

    ishq-jā.ī kahāñ se aa.ī hai

    ye judā.ī kahāñ se aa.ī hai

    jab ga.ī thī javān laḌkī thī

    būḌhī maa.ī kahāñ se aa.ī hai

    maiñ nikammā huuñ māntā bhī huuñ

    kāmyābī kahāñ se aa.ī hai

    is mohabbat ko ḳhud chhoḌā thā

    chukī thī kahāñ se aa.ī hai

    maiñ tumhāre baġhair mar jā.ūñ

    itnī hastī kahāñ se aa.ī hai

    ishq kartī hai namāzoñ se

    nek laḌkī kahāñ se aa.ī hai

    be-vafā hai 'vaqās۔yūsuf' bas

    saaf suthrī kahāñ se aa.ī hai

    ishq-jai kahan se aai hai

    ye judai kahan se aai hai

    jab gai thi jawan laDki thi

    buDhi mai kahan se aai hai

    main nikamma hun manta bhi hun

    kaamyabi kahan se aai hai

    is mohabbat ko KHud hi chhoDa tha

    ja chuki thi kahan se aai hai

    main tumhaare baghair mar jaun

    itni hasti kahan se aai hai

    ishq karti hai tu namazon se

    nek laDki kahan se aai hai

    be-wafa hai 'waqas۔yusuf' bas

    saf suthri kahan se aai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now