ishq jab mail-ba-ulfat ho gaya
ishq jab mā.il-ba-ulfat ho gayā
husn pāband-e-hidāyat ho gayā
tum ne kyā ik baar sūrat dekh lī
aa.ina bhī ḳhūbsūrat ho gayā
tum ne jab dahlīz par rakkhā qadam
bas vo lamha shubh mahūrat ho gayā
jānte haiñ vo sañvarne kā hunar
har musavvir mahv-e-hairat ho gayā
kaam par jaane lagā mazdūr baap
ahl-e-ḳhāna kī zarūrat ho gayā
farq jab uTThā to dīvāreñ uThī
āsmāñ itnā jhukā chhat ho gayā
baT gayā 'rāshid' diloñ meñ jab samāj
dūsroñ kā ranj rāhat ho gayā
ishq jab mail-ba-ulfat ho gaya
husn paband-e-hidayat ho gaya
tum ne kya ek bar surat dekh li
aaina bhi KHubsurat ho gaya
tum ne jab dahliz par rakkha qadam
bas wo lamha shubh mahurat ho gaya
jaante hain wo sanwarne ka hunar
har musawwir mahw-e-hairat ho gaya
kaam par jaane laga mazdur bap
ahl-e-KHana ki zarurat ho gaya
farq jab uTTha to diwaren uThi
aasman itna jhuka chhat ho gaya
baT gaya 'rashid' dilon mein jab samaj
dusron ka ranj rahat ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.