ishq jab tak na aas-pas raha
ishq jab tak na ās-pās rahā
husn tanhā rahā udaas rahā
ik hasīñ vāhima hasīñ dhokā
muddatoñ markaz-e-qayās rahā
ishq ko ajnabī samajh ke milā
husn kitnā adā-shanās rahā
fasl-e-gul meñ hujūm-e-gul kī jagah
har taraf ik hujūm-e-yās rahā
kis kā dāman rahā hai be-paivand
kaun āsūda-e-libās rahā
vo jise terā mustaqil ġham hai
terī mahfil meñ bhī udaas rahā
haa.e vo ḳhanda-e-ḳhafī ki 'zahīr'
dil pashemān-e-iltimās rahā
ishq jab tak na aas-pas raha
husn tanha raha udas raha
ek hasin wahima hasin dhoka
muddaton markaz-e-qayas raha
ishq ko ajnabi samajh ke mila
husn kitna ada-shanas raha
fasl-e-gul mein hujum-e-gul ki jagah
har taraf ek hujum-e-yas raha
kis ka daman raha hai be-paiwand
kaun aasuda-e-libas raha
wo jise tera mustaqil gham hai
teri mahfil mein bhi udas raha
hae wo KHanda-e-KHafi ki 'zahir'
dil pasheman-e-iltimas raha
- Book : kulliyat-e-zahiir (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.