ishq jab tujhse hua zehn ke jugnu jage
ishq jab tujh se huā zehn ke jugnū jaage
lafz paikar meñ Dhale soch ke pahlū jaage
dekhiye khiltā hai ab kaun se ehsās kā phuul
dekhiye ruuh meñ ab kaun sī ḳhushbū jaage
jaane kab mere thake jism kī jaage qismat
jaane kab yaar tire lams kā jaadū jaage
jāgte tanhā yahī sochtā rahtā huuñ maiñ
ratjagā kaisā ho gar saath mire tū jaage
jab samundar ke safar par vo mire saath chalā
lahreñ iThlā ke uThīñ niiñd se Taapu jaage
ishq jab tujh se hua zehn ke jugnu jage
lafz paikar mein Dhale soch ke pahlu jage
dekhiye khilta hai ab kaun se ehsas ka phul
dekhiye ruh mein ab kaun si KHushbu jage
jaane kab mere thake jism ki jage qismat
jaane kab yar tere lams ka jadu jage
jagte tanha yahi sochta rahta hun main
ratjaga kaisa ho gar sath mere tu jage
jab samundar ke safar par wo mere sath chala
lahren iThla ke uThin nind se Tapu jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.