ishq jhela hai to chehra zard hona chahiye
ishq jhelā hai to chehra zard honā chāhiye
husn ke shaidā.iyoñ ko mard honā chāhiye
bad-gumānī poñchh kar āñchal se koī chuum le
is liye tasvīr par kuchh gard honā chāhiye
sach kaho to har kahānī dāstān apnī hī hai
aadmī ke dil meñ thoḌā dard honā chāhiye
aaj ke bosoñ meñ sachchā.ī kī surḳhī hai kahāñ
ai musavvir in laboñ ko zard honā chāhiye
is makāñ meñ rahne vaale murda-dil insān haiñ
is mahal ke pattharoñ ko sard honā chāhiye
ek jaise chehre-mohre ek jaisī niyyateñ
bhiiḌ meñ sab se alag ik fard honā chāhiye
maañ kā āñchal thaam kar ronā bahut āsān hai
duur rah kar rone vaalā mard honā chāhiye
ishq jhela hai to chehra zard hona chahiye
husn ke shaidaiyon ko mard hona chahiye
bad-gumani ponchh kar aanchal se koi chum le
is liye taswir par kuchh gard hona chahiye
sach kaho to har kahani dastan apni hi hai
aadmi ke dil mein thoDa dard hona chahiye
aaj ke boson mein sachchai ki surKHi hai kahan
ai musawwir in labon ko zard hona chahiye
is makan mein rahne wale murda-dil insan hain
is mahal ke pattharon ko sard hona chahiye
ek jaise chehre-mohre ek jaisi niyyaten
bhiD mein sab se alag ek fard hona chahiye
man ka aanchal tham kar rona bahut aasan hai
dur rah kar rone wala mard hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.