ishq jo na-gahan nahin hota
ishq jo nā-gahāñ nahīñ hotā
vo kabhī jāvedāñ nahīñ hotā
ishq rakhtā hai jis jagah dil ko
maiñ bhī aksar vahāñ nahīñ hotā
mujh pe hote haiñ mehrbāñ jab vo
ḳhud par apnā gumāñ nahīñ hotā
ishq hotā hai dil kā ik aalam
aur dil kā bayāñ nahīñ hotā
maiñ ne dekhā hai un kī mahfil meñ
kuchh zamān o makāñ nahīñ hotā
ishq hotā hai dil-ba-dil mahsūs
ye fasāna bayāñ nahīñ hotā
ishq jo na-gahan nahin hota
wo kabhi jawedan nahin hota
ishq rakhta hai jis jagah dil ko
main bhi aksar wahan nahin hota
mujh pe hote hain mehrban jab wo
KHud par apna guman nahin hota
ishq hota hai dil ka ek aalam
aur dil ka bayan nahin hota
main ne dekha hai un ki mahfil mein
kuchh zaman o makan nahin hota
ishq hota hai dil-ba-dil mahsus
ye fasana bayan nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.