ishq jo walihana hota hai
ishq jo vālihāna hotā hai
ḳhud ko hī āzmānā hotā hai
sirf alfāz hī nahīñ hote
sher puurā zamāna hotā hai
kashtiyāñ aur log laate haiñ
maiñ ne dariyā banānā hotā hai
mubtalā be nishāñ nahīñ hote
un kā apnā gharānā hotā hai
log karte haiñ ishq kī bāteñ
maiñ ne karke dikhānā hotā hai
vasl tanhā nahīñ hai us ke janāb
hijr shāna-ba-shāna hotā hai
ham kisī ko payām dete haiñ
sher to ik bahāna hotā hai
maiñ mizājan faqīr huuñ merā
har suḳhan ājizāna hotā hai
ishq jo walihana hota hai
KHud ko hi aazmana hota hai
sirf alfaz hi nahin hote
sher pura zamana hota hai
kashtiyan aur log late hain
main ne dariya banana hota hai
mubtala be nishan nahin hote
un ka apna gharana hota hai
log karte hain ishq ki baaten
main ne karke dikhana hota hai
wasl tanha nahin hai us ke janab
hijr shana-ba-shana hota hai
hum kisi ko payam dete hain
sher to ek bahana hota hai
main mizajan faqir hun mera
har suKHan aajizana hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.