ishq ka aisa to mear nahin ho sakta
ishq kā aisā to me.aar nahīñ ho saktā
ek hī shaḳhs se do baar nahīñ ho saktā
dil ye kahtā hai vahī shaḳhs hai dhaḌkan kā sabab
dil kī is baat se inkār nahīñ ho saktā
sab tujhe dekhne aa.e haiñ masīhā mere
shahr kā shahr to bīmār nahīñ ho saktā
maiñ ne āñkhoñ ko sikhāyā hai salīqa aisā
ab koī ashk bhī bekār nahīñ ho saktā
muskurāte hue guzrā hai yahāñ se koī
rāsta yūñhī to gulzār nahīñ ho saktā
maar Daale na kahīñ tujh ko sahāroñ kā junūñ
har koī shaḳhs to dīvār nahīñ ho saktā
lauT aaya hai to kyā apnā banā luuñ phir se
ho nahīñ saktā mire yaar nahīñ ho saktā
ishq ka aisa to mear nahin ho sakta
ek hi shaKHs se do bar nahin ho sakta
dil ye kahta hai wahi shaKHs hai dhaDkan ka sabab
dil ki is baat se inkar nahin ho sakta
sab tujhe dekhne aae hain masiha mere
shahr ka shahr to bimar nahin ho sakta
main ne aankhon ko sikhaya hai saliqa aisa
ab koi ashk bhi bekar nahin ho sakta
muskuraate hue guzra hai yahan se koi
rasta yunhi to gulzar nahin ho sakta
mar Dale na kahin tujh ko sahaaron ka junun
har koi shaKHs to diwar nahin ho sakta
lauT aaya hai to kya apna bana lun phir se
ho nahin sakta mere yar nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.