ishq ka chal saka na jadu bhi
'ishq kā chal sakā na jaadū bhī
aah dil se utar gayā tū bhī
gintā rahtā huuñ ḳhūbiyāñ us kī
jis kī achchhī nahīñ hai ik ḳhū bhī
terā dāman bhī dāġh-dār hai aur
suunā suunā hai merā pahlū bhī
kab talak dekhtī rahegī mujhe
zindagī paas aa mujhe chhū bhī
maiñ bhī kuchh roktā nahīñ dil ko
kuchh ye aatā nahīñ hai qaabū bhī
'ishq ka chal saka na jadu bhi
aah dil se utar gaya tu bhi
ginta rahta hun KHubiyan us ki
jis ki achchhi nahin hai ek KHu bhi
tera daman bhi dagh-dar hai aur
suna suna hai mera pahlu bhi
kab talak dekhti rahegi mujhe
zindagi pas aa mujhe chhu bhi
main bhi kuchh rokta nahin dil ko
kuchh ye aata nahin hai qabu bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.