ishq ka dard-e-be-dawa hai ye
ishq kā dard-e-be-davā hai ye
jaane terī balā ki kyā hai ye
maar Dālegī ek aalam ko
terī ai shoḳh gar adā hai ye
har dam aatā hai aur hī saj se
kyā hī allāh mīrzā hai ye
chāhiye us kā sharbat-e-dīdār
ki tap-e-ishq kī davā hai ye
us sitam-pesha mehr dushman kī
mere uupar agar jafā hai ye
is meñ us kī to kuchh nahīñ taqsīr
chāhne kī mire sazā hai ye
dil-e-'bedār' ko to luuT liyā
zulf hai yā koī balā hai ye
ishq ka dard-e-be-dawa hai ye
jaane teri bala ki kya hai ye
mar Dalegi ek aalam ko
teri ai shoKH gar ada hai ye
har dam aata hai aur hi saj se
kya hi allah mirza hai ye
chahiye us ka sharbat-e-didar
ki tap-e-ishq ki dawa hai ye
us sitam-pesha mehr dushman ki
mere upar agar jafa hai ye
is mein us ki to kuchh nahin taqsir
chahne ki mere saza hai ye
dil-e-'bedar' ko to luT liya
zulf hai ya koi bala hai ye
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.