ishq ka dariya hua sairab kya
ishq kā dariyā huā sairāb kyā
aag kī zad meñ hai ab ke aab kyā
us kī ḳhushbū se badan jalne lagā
pī liyā hai phuul ne tezāb kyā
aañkh se kirneñ lagīñ haiñ phūTne
dil meñ utrā hai koī mahtāb kyā
chun rahī haiñ āñkheñ donoñ haath se
ret par bikhre hue haiñ ḳhvāb kyā
aa rahe haiñ jhoñke us ke aks ke
diid kā kholā hai us ne baab kyā
kuchh alag hī raqs hai girdāb meñ
ho gayā armāñ koī ġharqāb kyā
vajd taarī kar rahī hai guftugū
harf tere ho ga.e mizrāb kyā
yuuñ dhaḌak uTThī zamīñ 'shahbāz' kyoñ
rakh diyā tū ne dil-e-betāb kyā
ishq ka dariya hua sairab kya
aag ki zad mein hai ab ke aab kya
us ki KHushbu se badan jalne laga
pi liya hai phul ne tezab kya
aankh se kirnen lagin hain phuTne
dil mein utra hai koi mahtab kya
chun rahi hain aankhen donon hath se
ret par bikhre hue hain KHwab kya
aa rahe hain jhonke us ke aks ke
did ka khola hai us ne bab kya
kuchh alag hi raqs hai girdab mein
ho gaya arman koi gharqab kya
wajd tari kar rahi hai guftugu
harf tere ho gae mizrab kya
yun dhaDak uTThi zamin 'shahbaz' kyon
rakh diya tu ne dil-e-betab kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.